Skip to main content

Cancer Ka Desi Ilaj



(Beetroot, Apple And Carrot Juice)
Is juice ko karishmati aur maujzati juice kaha ja raha hai aur yeh taweel arsey se zeyr e istemal hai. Yeh juice is qabil hai ke is barey mein sab ko bil khasoos cancer ke patients ko bataya jae.
Yeh juice body mein nuqsan dey khuliyat ( cancer ke khuliyat ) ki tashkeel ko rokta hai aur agar aise khuliyat ban he jaey to in ki mazeed afzaiysh par qaboo pata hai. Is juice ke liye aap ko 1adad beet root ( chuqandar ), 1 adad carrot ( gajar ), 1 adad apple ( seyb ). In teeno fruits ko mila kar aap is ka juice tayyar kar sakte hain. Sab se pehle in ko achi tarah se wash karen aur phir bina peel off kiye chote chote pieces mein cut kar len. Is ke bad juicer blender mein in ka juice nikaal len aur fori taur par pee len. Is ko zaiyqedaar banane ke liye is mein lemon juice bhi mila sakte hain. Yaad rakhen ke juicer se nikalne ke bad fori ise peena hai, 1 minute ki bhi dair na karen. Is juice se aap ko faiydey honge wo darj zeyl hain.

* Cancer ke khuliyat banne se rokega aur in ki afzaiysh bhi nahi hone dega.

* yeh jigger, gurdey aur lablab eke amraaz ki rok tham ke ilawa ulcer ke liye bhi shifa bakhsh hai.

* Lungs ko mazboot banaega aur heart attack aur high blood pressure ko bhi rokega.

* Madafati nizaam ko mazboot karega.

* yeh eyesight ke liye bhi mufeed hai aur aankhon ko khushk hone se bachata hai.

* Exercise ke bad hone wala dard aur phatton ka dard ko bhi khatam karne mein madad deta hai.

* Jism se fasid madda kharij karta hai, qabz khatam karta hai aur skin ko khobsurat aur chamakdaar banata hai.

* Keel, jhaiyyon ko khatam karne ke liye intehai mufeed hai.

* Digestion problem and throat infection se bachata hai.

* Yeh muzir asraat se paak hai aur ghizaeyat se bharpor hone ke sath sath fori taur par digest ho jata hai.

* Weight kam karne ke liye yeh teer behdaf hai.

* Sirf 2 week ke istemal ke baad app dekhenge ke aap ka madafati nizaam pehle se behter ho gaya hai.

Popular posts from this blog

Healthy Tips

بیماریوں سے نجات کے لئے

Mirgi Ke Daure Ka Ilaaz